Dawat e tablig byan and naat Lyrics



Byan Lyrics
1.Haji Abdul Wahab SB Farmaty Han Abdul Rashed Surti ki Bhout Ziyada Qurbani Hai Raiwind Ya Madina Sharif Main Jab Mashwara Hota Hai Hazrat Ka To Har Mashwara Ma Sub Say phalay..
Abdul Rashed Surti ka naam hota hai
mena jab bi kaha hai ijtima hona wala hai to Abdul Rashed Surti Na Ajj Tak Mujy Inkar nhi kiya..
Allah Hafiz Surti sb ki Or Baqi Hazrat ki qurbaniya Qabol farmaya (AMEEM)


2.Hazart maulana umar sahab palnpuri (rahumtullah hi alaih) farmay karte the ibadat ka noor masjid me milega ilm ka noor madrese me milega jikr ka noor khankah me milega aur imaan ka noor allah ke raste me milega

3..Hazart Molana Qari Ahemad ali  falahi lyrics

Hazart Molana Qari Ahemad ali  falahi farmate he ke Mohammad name itna barkat vala name ke donu hoto ko milaye bager name ada nhi kr sakat koy bhi insan .. mohmmad name lene ke liye donu hot ko milana jruri he ..chumna jaruri he..
         
 Ham Ahele Sunaat wal Jamat {sunni hanfi} DAWAT E TABLIG ka kam krne valo ka Akida he ke Hamare nabi apni kabar mubarak me zinda he..or Qayamat tak jinda rahege ..
hum kahi se salam padte he un tk pahochti he  
               Pirane pir shekh abdul kadar jilani r.a famate he ke tum kalma jitni jyada bar padhoge tohid ka huk ada hoga
                   Allah farmate ke mera vali wo hota he jinke kadmo me duniya or akhirat hoti he
, Duniya or akhirat vali ke kadmo pr hoti he,


 

4.juned jamsed
Durrod Un Par Salaam Un Par Yehi Kehna khuda Ka hai
Khuda Kay Baad Jo Hai Martaba Salle Ala Ka Hai
Wohi Sardaar-e-Alam Hain Wohi Gham`Khwaar-e-Ummat Hian
Wohi Toh Hashar Kay Maidan Main Sab Ki Shifa'at Hain
Shifa'at Kay liye Sab Ki Nazar Un Par Lagi Ho Ge.



5.Molana Tarik jamil :-
[STORY OF BEHLOL MAJZOOB (R.A) BY MOULANA TARIQUE JAMEEL SAHIB] (Parrye or sochye)
Bhlol (R.A) jo guzar rahe the tu dekha ek bacha kharra ro raha tha dosre bache akhrot khail rahe the unhone samjha iske pass akhrot nahi hai tu main ise lekar de deta hoon Behlol (R.A) kehne laga bache tu ro nahi main tumhain akhrot lekar deta hoon tu b khail bacha kehne laga Behlol (R.A) hum koi duniya main khelne aaye hain ? Behlol (R.A) ko tu tawaqo nahi thi k yea bacha aise jawab dega. kaha acha Bacha kehne laga ALLAH (S.W.T) ki ibadat karne aaye hain tu Behlol (R.A) kehne laga bacha abhi tu bohat chhota hai tere yea ghum ki cheez nahi hai abhi tu is manzil pe aane main waqt parra hai tu bacha kehne laga arre Behlol (R.A) mujhe dokha na de maine apni maa ko dekha hai subha jub aag jalati hai tu pehle chhoti chhoti lakriyon se jalati hai phir barri lakriyan rakhti hai mujhe yea darr hai k kahin dozakh mujhse na jalayi jaye or mere oper barron ko na dala jaye or yea sunke Behlo (R.A) tu behosh hokar gir gaye.. yea kisi maa ne us bache ko waqt diya hai konsa waqt app log dete hain apne bachon ko jisme app unhain maqsad e zindgi samjhayen school collage tu unhain kuch b nahi samjha rahe wo kiya samjha rahe hain wo tu kamayi k tareeke samjha rahe hain insaniyat tu nahi samjha rahe insan hona tu nahi samjha rahe phir app apni oulad ko sikha b rahe hain tu khali unko karobar sikha rahe hain unko insan hona kab sikha rahe hain ??
Dua ka Talib





Naat sarif Lyrics

Junaid Jamshed Lyrics


1.Junaid Jamshed - Jalwa-e-Janan (Long Version - Beautiful) Lyric

Na Koi Aap Sa Ho Ga Na Koi Aap Jesa Tha
Koi Yusaf Say Poochay Mustufa Ka Husn Kesa Tha
Zameen-o-Aasmaan Main Koi Bhi Misaal Na Mili

Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli'ini

Daleel-e-Zindagi Wo Hain Kamaal-e-Bandagi Wo Hain
Koi Bhi Daur Ho Us Main Meraj-e-Aadmi Wo Hain
Wohi Toh Deen-o-Duniya Hai Jo Baatain Aap Nay Kahin

Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan
Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan

Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kull'ini

Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen
Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen

Koi Bhi Baat Ho Har Hukm Unka Mutabar Aisa
Kay Un Ka Haan Nahin Kehna Bhi Hai Quran Kay Jesa
Hadith-e-Paak Kehlaain Jo Baatein Aap Nay Kahin

Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kull'ini

Durrod Un Par Salaam Un Par Yehi Kehna khuda Ka hai
Khuda Kay Baad Jo Hai Martaba Salle Ala Ka Hai
Wohi Sardaar-e-Alam Hain Wohi Gham`Khwaar-e-Ummat Hian
Wohi Toh Hashar Kay Maidan Main Sab Ki Shifa'at Hain
Shifa'at Kay liye Sab Ki Nazar Un Par Lagi Ho Ge


Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli'ini

Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli'ini

Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli'ini

Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli'ini

Maula Yaa Salli Wa Sallim Da'aiman Abadan
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli'ini

 2.Junaid Jamshed - Mubarak Tujhay ho Arz-e-Madina Lyrics

mubarak tujhey ho aey arzey Madina
Nabi ka sher hai, ye sher-e-Madina

Teray paas jab syed-e-do jahaan hain
Na kyun raksh-e-aflaaq ho phir Madina

Teray sabz gumbad pe alam fida hai
Falak jaisey chumey zameen-e-Madina

Teray zara zara nishaan-e-Nabi hai
Fida tujh pe mekhaak sher-e-Madina

Uhad ke ye daman mein khoon-e-shaheedaan
Sabaq de raha hai wafa-e-Madina

Nishani hai Islam ki azmaton ki
Sahaba ke qadmon se khak-e-Madina

Wafadarion par sahaba ke akhtar
hai tareekh roshan ye sher-e- Madina

3.Junaid Jamshed - Muhammad (PBUH) Ka Roza Lyric
Muhammad ka roza qareeb aa raha hai
Muhammad ka roza qareeb aa raha hai

bulandi pe apna naseeb araha hai
farishton ye de do peghaam un ko
Khabar ja ke de do unko farishton
ke khadim tumhara Saeed aa raha hai

Madina,Madina,Madina,Madina bara lutf deta hai nam-e-Madina

wafa tum na dekho ke hargiz kisi mein
zamana wo aisa qareeb araha hai
hifazat karo apney iman o deen ki
zamana woh aisa ajeeb araha hai

Muhammad ka roza qareeb aa raha hai
bulandi pe apna nasseeb aa raha hai
farishton ye de do peghaam un ko
khabar ja ke de do unko farishton
ke khadim tumhara Saeed aa raha hai

Madina Madina Madina Madina bara luft deta hai naam-e-Madina

Tum hain kuch khabar hai kahan ja raha ho
Rasool-e-Khuda hain waha'n ja raha hoon
Tum hain kuch khabar hai main kya pa raha hun
mohabbat ka unki maza pa raha hoon
chalo ja kay rehna Madina main ab tum
qiyamat ka manzer qareeb aa raha hai
farishton yeh de doh paighaam unko khabar ja ke de do unko farishton ke khadim tumhara saeed aa raha hai

Madina Madina Madina Madina bara luft deta hai naam-e-Madina

Madina Madina Madina Madina bara lutf deta hai naam-e-Madina ke khadim tumhara saeed aa raha hai ke khadim tumhara saeed aa raha hai


Muhammad ka roza qareeb aa
raha hai bulandi pe apna naseeb aa
raha hai
farishton ye de do peghaam un ko
khabar ja ke de do unko ke
khadim tumhara Saeed aa raha hai
Madina Madina Madina Madina
bara luft deta hai naam-e- Madina
  


4.Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen  lyrice

Be Khabar Tu Jauhar-i Aa'inah Ayyaam Hai
Tu Zamaane Mai Khuda Ka Aakhri Paigham Hai. . . !!!

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen


Bazm-e-Kaunain Pehle Sajaa'i Gayi
Phir Teri Zaat Manzar Pai Laayi Gayi

Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi
Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Mere Bas Mai Nahi, Dastaras Mai Nahi

Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi ( spEcialy these linEs )


Ae Rasul-e-Amin, Tujh Sa Ko'i Nahi

Dast-e-Qudrat Ne Aisa Banaaya Tujhe
Jumla Awsaaf Sai Khud Sajaaya Tujhe

Ae Azal Ke Haseen, Ae Abad Ke Haseen
Dhoondhti Hai Tujhe Meri Jaan-e-Hazeen

Tera Sikkah Rawa Kul Jahan Mai Huwa
Is Zameen Mai Huwa, Aasmaan Mai Huwa

Kya Arab Kya Ajam Sab Hai Zair-e-Nagin
Taubah Taubah Nahi, Ko'i Tujh Sa Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi


Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen. . . !!!

No comments:

Post a Comment