Dawat E Tablig NAAT / NAZAM/SALAM

Dawat E Tablig NAAT / NAZAM/SALAAM

MP 3 Naat


1.Aaqa Madni:-
http://www.archive.org/download/Bahar-E-Rehmat/02_-_Bahar-E-Rehmat_-_Aaqa_Madni.mp3

2.Rabi Awwal Bahar Awwal
http://www.archive.org/download/Bahar-E-Rehmat/07_-_Bahar-E-Rehmat_-_Rabi_Awwal_Bahar_Awwal.mp3 

3. Hum Madiney Sey Allah Kyon Agaye
 http://www.archive.org/download/Bahar-E-Rehmat/09_-_Bahar-E-Rehmat_-_Hum_Madiney_Sey_Allah_Kyon_Agaye.mp3

4.  Aae Nabi Mustafa Aap Pe Main Fida
http://www.archive.org/download/Vol_09_-_Saqi-E-Kausar/08_-_Saqi-E-Kausar_-_Aae_Nabi_Mustafa.mp3
 
                                                                SALAM
1.Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Saw Ka Naam ...


2. An Nabi Sallu Alai.mp4

3.Durood o salam
4.hafiz abu bakar new naats 2014


NATT VIdio
1.Muhammad-Ka-Roza 
    
                                       
2.jo bhi lega mere nabi ka name

3.subhanallah..


jggg
4.Mera Dil badal de ya molla..
sg
5.Mohmmad ka Roza..

 6.Ae Tayba...


 
7.Wo makka or madina yad ata he
 

8.Junaid Jamshed - Ki Mohammad Se Wafa Too Ne _ Junaid jamsed




9.Junaid Jamshed - Haram ke Muqadas (Junaid Jamshed) _


10.Hafij abu bakar


11.hafiz abu bakar new naats 2014
 
12.Nabi Nabi
 





13.













14.Hafij Abu Bakar














Chal Deen Ki Tableegh Mein Lyrics

Chal Deen Ki Tableegh Mein (66528 downloads)

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Har ghar pe nabi leke gaye noor-e-hidayat
Tayef me gaye leke apne deen ki dawat

Ummat ka dard dard me wo dil ki kaifiyat
Ummat meri ummat meri ummat meri

Ummat ke isi fikar mein jalne ka maza dekh
Allah ke raste nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Ek hukm pe ashab-e-makan chhor ke nikle
Baghat jahan the wo wahan chhor ke nikle

Nikle to peechhe sara jahan chhor ke niklen
Hatta ke wapsi ka gumaan chhor ke niklen

Tu bhi to takaazon pe nikalne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Sunnat ke diwanon ko ‘aafiyat ki khbar do
Touheed ke da’ai ko rafaqat ki khabar do

Dawat ki jama’at ko maghfirat ki khabar do
Is kaam ki shoqeen lo jannat k khabar do

Aa chal ke tu bhi dhool me dhulne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Tauheed ki shaheen tera kaam gasht hai
Maidam-e-amal ke liye paigham gasht hai

Mehdood nahi tera sar-e-aam gasht hai
Aaram nahi tujhko subh-o-shaam gasht hai

Aur tol fizaaon se bahlne k maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Zamzam ki tarah kaam hai hijrat ka amal hai
Emaan ki lazzat ka fazeelat ka ‘amal hai

Allah se lene ka maghfirat ka ‘amal hai
‘Amal banane ka hidayat ka ‘amal hai

Is raste me khud ko badlne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Emaan ke maahoul me emaan dekhna
lazzat me kaise jhoomti hai jaan dekhna

Momin ki yahi shan hai ye shan dekhna
Wo gasht lagata hua sultan dekhna

Allah ke baat ke liye milne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh

Uljha ke museebat me phasa degi ye duniya
Duniya hai daghabaz dagha degi ye duniya

Thokar se zer-e-khaak daba degi ye duniya
Har maal chheen legi mita degi ye dunya

Chal chhor nikal aur nikalne ka maza dekh
Allah ke raste me nikalne ka maza dekh

Chal deen ki tableegh mein chalne ka maza dekh
Allah ke raste mein nikalne ka maza dekh




Junaid Jamshed Naat - Ilahi Teri Chaukat Per Lyrics

Ilahi teri chaukhat per bhikari ban ke aya hoon is beautiful munajat by Junaid Jamshed and its lyrics as shown below.

Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,

Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadwa ker,

Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,

Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,
Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,

Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.

Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,

Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,

Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.

Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon

Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,

Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.

No comments:

Post a Comment